Sunday, December 5, 2010

Hazrat Ali RA AS K Aqwal

1- Tabeyat ki Narmi aur Sakhawat, insan ko Dushmnon k dilon main b Mehboob bana deti hai.


2- Tum acha karo aur zamana tum ko bura samjhy, yeh tumharay haq main behtar hai, bajaye is k k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay.


3- Wo gunah jo tumhare dil mein ranj paida kare, us naiki se behtar hai jo tumhare dil mein ghuroor paida kar de.


4- barish ka qatraha seepee aur saanp dono k muh main girta hai.
Seepee ussay moti bana deti hai aur saanp zehar bana deta hai.
Jis ka jaisa zarf waisi us ki takhleeq hoti hai.



5- Koi GUNAH Lazzat k lye mat karna
q k Lazat khatam ho jaegi GUNAH baqi rahjaega ,
Or koi NEKI taklif ki waja se mat chorna q k
taklif khatam ho jaegi NEKI baqi rahjaege!

6-  Agar ksi ka banna chahte ho tou puri haqeeqat se ban jao
Warna,apni zaat main aisi haqeeqat paida kr lo
K koi haqeqat main tumhara ban jaye

7- Ibn-e-adam!
Jab gunahon k bawajood Allah ki naimmatain musalsal tujhe milti rahen tou hoshyaar ho jana, k tera hisaab qareeb aur sakht tareen hai

8- Jab Tum Duniya ki Muflasi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa day kar ALLAH say Tijarat karo...

9- Sab se buri Kamai sod ki kamai,
Sab se buri Mazrat wo, jo mot k waqt ki jaey,
Sab se bura Khana yatim ka maal khana he.

10- "Allah ki shan ye nahe k DUA ka darvaza kholay aur QUBOLIAT ka band kr day Ya TAUBA ka darvaza kholay aur MAGHFIRAT ka darvaza band kr day".

No comments:

Post a Comment